» Yun saja chand ke chhalka tere andaz ka rang /
Yun saja chand ke chhalka tere andaz ka rangYun faza maheki ke badla mere hamraz ka rang
Saya-e-chashm me hair-o-rukhe roshan ka jamaal
Surkh ye lab me pareshan teri aavaz ka rang
Bin piye hoke agar lutf karo akhiri shab
shisha-o-may me dhali subah ki avaz ka rang
changune rang pe the apne lahu ke dam se
Dil ne lay badli to madhyam hua har saaz ka rang
Singer: Asha Bhosle
Lyrice: Nasir Kazmi
Dil Dhadkane Ka Sabab Yaad Aaya
Dil Dhadkane Ka Sabab Yaad Aaya
Woh Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya
Aaj Mushkil Tha Sambhalana Aye Dost
Tu Musibat Mein Ajab Yaad Aaya
Haal-e-Dil Hum Bhi Sunate Lekin
Jab Woh Rukhsat Huey Tab Yaad Aaya
Din Guzaara Tha Badi Mushkil Se
Phir Tera Wada-e-Shab Yaad Aaya
Baith Kar Saaya-e-Gul Mein Nasir
Hum Bahot Roye Woh Jab Yaad Aaya
No comments:
Post a Comment