Thursday, 17 November 2011

POETRY


» Rooth Jana /
Rooth janey ki aadatain na gaye
dil jalaney ki adatain na gayi
beesiyon baar aazma k hamein
azmanay ki adatein na gayi.

» Suna Hai /
Suna hai pichlay waqton mein
talluq jin ka gehra ho
agar wo door ho jaye
kabhi ik doosray ko mil nahi payein..
to aadhe dil se saari umr jjeetay hain..
tym apna dil tatolo...
or pooray ka yaqeen kar lo
mera pehloo to ik mudadat se khali hai...!!
 

» Dastoor Hai /
Dastor hai duniya ka magar ye to bato
hum kis say milain kis say kahein.
I LOVE YOU?
 

» Tumhay Bhi To Khabar Hogi/
Thumein bhi to khabar hogi
k darya pas behte hon to pani acha lagta hai
kinaro se juri mitti se pocho rog chahat ka
k is pani ki chahat main
kinaro se ukhar kr ajnabi deso main jana
kitna mushkil hai
kinara phir nahi milta
tumhain bas itna likhna hai
yahan jo bhi bichar jaye
dobara phir nahi milta.
 

» Soch ko badlo /
Soch ko badlo, sitare badal jayenge,
Najar ko badlo. nazare badal jayenge,
Kashtiya badalne ki jarurat nahi,
Dishaon ko badlo, KINARE badal jayenge.
 

» Hum dua karte hain /
Hum dua karte hain Khuda se,
ki wo aap jaisa dost aur na banaye,
Ek Cartoon jaisi cheez hai humare paas,
kahin wo bhi common na ho jaye!
 

» Tere DIL mein rehenge /
Tere DIL mein rehenge SMS bankar,
Dhadkano mein bajenge RINGTONE bankar,
Kabhi apne DIL se juda mut Samajana,
Hum tere saath chalenge NETWORK bankar!
 

» Aapki muskan  /
Aapki muskan hamari kamjburi hai,
Keh na pana hamari majburi hai,
Aap kyon nahin samajhte is khamoshi ko,
Kya khamoshi ko zuban dena jaruri hai?
  » Hum na hote to /
Hum na hote to aapko gazal kaun kehta,
apke chehre ko gulab kaun kehta,
Ye to karishma hai hum pyar karne walon ka warna
pattharon ko Taj Mahal kaun kehta.
Saray Waday /
Saray waday bhi bhula sakta hon lakin choro
mien tumhain chor k ja sakta hon lekin choro
ye jo har morr pe keh deti ho, Allah Hafiz
fesla mein bhi suna sakta hon lekin...choro
 

» Dum-e-aakhri /
Dum-e-aakhri hai, qarar ho koi aye to
ye kisi kay gosh guzar ho koi aye to
mire dil kay sonay dyar me ghare do ghare
wo khizaan ho ya bahar ho koi aaye to.
 

» Hijr Ugnay Laga /
Hijr ugnay laga hai pooron per
dil meinkia  beej bo gai ho tum
aik lamha ko sochti bhi nahi
kitni masroof ho gai ho tum.
 

» Kaee Roshan /
Kaee roshan nazaron se tumhra zir krna tha
suno hum ko bagaron se tumhara zikr krna tha
abhi se sard mosam ka labada dey gaye hum ko
abhi hum ne baharon se tumara zikr krna tha.
 

» Is Gardish-e-eayyam /
Is gardish-e-ayyam ke din raat me tanha
mehfil me subh O sham magar zaat me tanha
tu sath hai par phir bhi ajab dharka laga hai
reh jaon na kho kar kaheen halaat me tanha.
 

» Vo aaj bhi hume dekh kar /
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Yeh to unke bachche hee Ahmak hain,
Jo Mama-Mama kehke bulaate hain.
 

» Safar lamba hai /
Safar lamba hai dost banate rahiye,
Dil mile na mile haath badate rehiye,
Taj na banaiye costly padega,
Har taraf Mumtaj banate rahiye.
 

» Jab jab ghire badal /
Jab jab ghire badal teri yaad ayi,
Jab jhoom ke barsa sawan teri yaad ayi,
Jab-jab mein bhiga teri yaad ayi,
Ab raha nahin jata, Chatri Lauta de Bhai.

» Kya lekar aaya tha?
Kya lekar jayega?
Mujhe SMS na karke zaalim,
Tu kitna chillar bachayega?

No comments:

Post a Comment